...CHOTI CHOTI BAATEIN...

          Zindagi chote-chote, udaasi-khushi, acchi-buri palo ki ek kahani hoti hai.. Socha jaye to zyada se zyada pal to inmein se kuch bhi nahi bas ek virani si rehti hai..
          Aise he ek virani pal mein maine ek kitab padha tha aur ehsaas hua tha ke 'Haan iss pal ke in vicharo ko main aapke saath baatun'. Kisi lekhak ka kehna tha "Raat ka andhera jitna sangeen lagta ho, wo sach mein hota nahi". Aur isi ek chote se vakhya par aur ek lekhak ne likha tha ke "Jaise raat ke andhere mein choti-choti taro ka wo chamakna he sahara banjata hai, aise he apne zindagi mein choti-choti pal bhi hoti hai" unke khayal se zaroorat hai to bas unhe samaj ne ki..
          Ab ye to mat sochna ke ye kalka ladka humein kya zindagi sikhayega, muje khud bhi kuch sikhana nahi hai, koshish hai to bas Jaankari ko aapas mein baatna.. Aage jo bhi kahavat ya khayalat main likh raha hun unhe ghaur se padhna, ye vichar mere to nahi par har kisi ke kaam ayenge itna to main jaanta hun aur maanta bhi hun..
          Ek darvaza band ho jaye to, ek aur khul bhi jata hai. Thodi si Kala aur Gyan agar pale to wo aap pe boj nahi hoti; bina tumhare peet ko jhukaye zindagi bhar tumhare saath chalti hai..Beete kuch dino mein jo cheez tumhe sabse zyada pareshani di thi usko yaad karna; tumhare yaad dash ke liye ek behtareen pariksha hogi. Tumhari koshish kabhi-kabhi naakam hosakti hai, par koshish he na kiya to haroge ye to tai hai..
          Insaan ke halaat jab had se zyada bigad gaye ho usi waqt usko zyada kriyasheel palonka saamna hota hai.. Behatareen khel nahi hota; behatareen khiladi hota hai. Kharab naseeb ka samna jo karta ho wohi kharab naseeb usko zyada tez aur acchayi bhi sikhati hai.
          Solve saal mein jo sundarata tumhe mile uska tum ehsaan maano; par sattar saal mein jo sundarata tujme bachi ho uska garv tum karo. Kyon ki wahi tumhari sadhana ka fal hai.. Zindagi khushiyose bhardo ye bhagwan se na maangna; Mujhe takat dena itna kehlena..
          Khudpe yakeen rakhna; logo ka yakeen aap he badhega.. Zindagi to khatam huyi thi, firse jeene ka mauka mila hai, ye sochke naye se zindagi saja.. Jhagdo se door raho; Jhagda karne wale kitne laachar hai tumhe ehasaas hoga.
          Nahi, haar na maan; teri ek he jeet beete haar ko baha degi.. Hum sab chaai ki pattiya hai yaaro, jab garam pani mein ubale jaye tabhi ehasaas hoga apni takat ka.. Ghanto jo baat kare uss se door rehna; jise jaankari kam ho wohi usko samjane ke liye samay leta hai.. Apne shatru se pyar karna, aur kuch ho na ho, iss se tumhare shatru zaroor pareshaan ho jayenge..
          Sapno ko apne, dusro ke mutthi mein na rakhna; sapne he jeevan ka umeed badhati hai.. Tumhe dekh ke koi jalta hai kya? Yaad rahe pattar usi pedh ko mara jata hai jo fal deta ho.. Khudko  jab jeetna mushkil lage to ek he raasta hota hai; saamne wale ko thakne pe majboor kardo. Khel ka aadha hissa khelna to aasan hota hai, Jo aakhri hissa khele wohi jeet ta hai..
          Jo bhool kiya nahi uski saza miljati hai kabhi-kabhi, jane kitne baar bhool hoke bhi saza se bache thay, yaad karlena tab... Mazboot insaan aur behta paani apna raasta khud banalete hai.. Uparwala to sirf chehara deta hai dost, uspe aane wale bhaav hamare hote hai.. Jeet ki choti par pahochne pe lagta hai, chadke jis raah pe aaye thay wohi kitna sundar tha..
          Yeah muje kya hua hai jo main inn vakhyo ko yanha bata raha hun; yahi soch rahe honge na? In vakyo ka apna he ek siddhant hai. Zindagi mein samne aane wale jane kitne palo mein ye siddhant hume aage badhne mein madat kar sakti hai. Isi liye main aapse inko baatne ki koshish ki hai..
          THE LITTLE BOOK OF COMFORT by Raskin Bond naam ke ek chote se kitab ki baatien hai ye.. Zindagi jaise bhi ho, jis haal mein bhi pal beet rahe ho, nazariya uss pal ko sahi disha de sakta hai.. Aur aise siddhant ka agar saath ho to naasan ho jaye ye mera maan na hai...
          - @NDY
Share on Google Plus

About andy

This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.

0 comments: